Aagahi mein ek khala maujood hai,
iss ka matlab hai khuda maujood hai.
Hai yaqeenan kuchh magar waazeh nahin,
aap ki aankhon mein kya maujood hai.
Baankpan mein aur koi shayy nahin,
saadgi ki inteha maujood hai.
Hai mukammal baadshaahi ki daleel,
ghar mein gar ek boriyaa maujood hai.
Shauqiya koi nahin hota ghalat,
iss mein kuchh teri razaa maujood hai.
Iss liye tanha hun main garm-e safar,
qaafile mein rahnuma maujood hai.
Har mohabbat ki binaa hai chaashni,
har lagan mein mudda maujood hai.
Har jagah, har shehar, har iqleem mein
dhoom hai uss ki jo na-maujood hai.
Jis se chhupna chahta hun main ‘adam
woh sitamgar ja-ba-jaa maujood hai. !!