0

Zindagi Se Badi Koi Saza Hi Nahin..


Zindagi se badi koi saza hi nahin,
aur kya jurm hai pata hi nahin.
Jadd do chaandi mein chaahe sone mein,
aaina jhooth bolta hi nahin.
Sach ghate ya badhe toh sach na rahe,
jhooth ki koi intehaa hi nahin.
Itne hisson mein bat gaya hun main,
mere hisse mein kuchh bacha hi nahin. !!

Kitni Be-saakhta Khata Hun Main..


Kitni be-saakhta khata hun main,
aap ki raghbat-o-razaa hun main.
Maine jab saaz chhedna chaaha,
khaamoshi cheekh uthi sadaa hun main.
Hashr ki subah tak toh jaagunga,
raat ka aakhiri diya hun main.
Aap ne mujh ko khoob pehchaana,
waaqayi sakht bewafaa hun main.
Maine samjha tha main mohabbat hun,
maine samjha tha mudda hun main.
Kaash mujh ko koi bataaye ‘adam
kis pariwash ki baddua hun main. !!

Aye Saaqi-e-Mehwish Ghum-e-Dauraan Nahin Uthta..


Aye saaqi-e-mehwish ghum-e-dauraan nahin uthta,
darwesh ke hujre se ye mehmaan nahin uthta.
Kehte the ki hai baar-e-do-aalam bhi koi cheez,
dekha hai toh ab baar-e-garebaan nahin uthta.
Kya mere safeene hi ki dariya ko khatak thi,
kya baat hai ab kyon koi toofaan nahin uthta.
Kis naqsh-e-qadam par hai jhuka roz-e-azal se,
kis weham mein sajde se bayabaan nahin uthta.
Be-himmat-e-mardaana nasaafat nahin kaTti,
be-azm-e-musammam qadam aasaan nahin uthta.
Yun uthti hain angdaai ko woh marmarin baanhen,
jaise ki ‘adam takht-e-sulaimaan nahin uthta. !!

Jumbish-e-kaakul-e-mahboob Se Din Dhalta Hai..


Jumbish-e-kaakul-e-mahboob se din dhalta hai,
haaye! kis khoobi-e-usloob se din dhalta hai.
Phenk kulfat-zada sooraj pe bhi chheente uss ke,
jis mayy-e-dilkash-o-marghoob se din dhalta hai.
Koshish-e-banda-daana nahin kaamil hoti,
sohbat-e-banda-e-majzoob se din dhalta hai.
Mehar ke walwala-e-raast se pau phaTti hai,
mehar ke jazba-e-maqloob se din dhalta hai.
Saaqiya ek ‘adam ko bhi phureri uss ki,
jis khanakte hue mashroob se din dhalta hai. !!

Maikada Tha Chaandni Thi Main Na Tha..


Maikada tha chaandni thi main na tha,
ek mujassam bekhudi thi main na tha.
Ishq jab dum todta tha tum na the,
maut jab sar dhun rahi thi main na tha.
Toor par chheda tha jis ne aap ko,
woh meri deewaangi thi main na tha.
Woh haseen baitha tha jab mere qareeb,
lazzat-e-hum-saayegi thi main na tha.
Maikade ke mod par rukti hui,
muddaton ki teeshnagi thi main na tha.
Main aur ghuncha-dahan ki aarzoo,
aarzoo ki saadgi thi main na tha.
Gesuon ke saaye mein aaraam-kash,
sar-barahna zindagi thi main na tha.
Dair-o-kaaba mein ‘adam hairat-farosh
do jahaan ki badzani thi main na tha. !!

Maikhana-e Hasti Mein Aksar Hum Apna Thikaana Bhool Gaye..


Maikhana-e hasti mein aksar hum apna thikaana bhool gaye,
ya hosh mein jaana bhool gaye ya hosh mein aana bhool gaye.
Asbaab toh ban jaate hain taqdeer ki zidd ko kya kahiye,
ek jaam lo pahuncha tha hum tak hum jaam uthana bhool gaye.
Aaye the bikhere zulfon ko ek roz humaare marqad par,
do ashk toh tapke aankhon se, do phool chadhaana bhool gaye.
Chaaha tha ki un ki aankhon se kuchh rang-e-bahaaran leeje,
taqreeb toh achchhi thi lekin do aankh milaana bhool gaye.
Maloom nahin aaine mein chupke se hansaa tha kaun ‘adam
hum jaam uthaana bhool gaye, woh saaz bajaana bhool gaye. !!

Khush Hun Ki Zindagi Ne Koi Kaam Kar Diya..


Khush hun ki zindagi ne koi kaam kar diya,
mujh ko supurd-e gardish-e ayaam kar diya.
Saaqi siyaah-khana-e-hasti mein dekhna,
roshan charaagh kis ne sar-e shaam kar diya.
Pehle mere khuloos ko dete rahe fareb,
aakhir mere khuloos ko badnaam kar diya.
Kitni duaayen dun teri zulf-e daraaz ko,
kitna waseea silsila-e daam kar diya.
Woh chashm-e mast kitni khabardaar thi ‘adam
khud hosh mein rahi, humein badnaam kar diya. !!
– Abdul Hamid Adam


Dekh Kar Dilkashi Zamaane Ki..


Dekh kar dilkashi zamaane ki,
aarzoo hai fareb khaane ki.
Aye ghum-e zindagi na ho naraaj,
mujh ko aadat hai muskurane ki.
Zulmaton se na dar ki raaste mein,
roshani hai sharaab-khaane ki.
Aa tere gesuon ko pyaar karun,
raat hai mishalen jalaane ki.
Kis ne saaghr ‘adam buland kiya,
tham gayi gardishen zamaane ki. !!

Aagahi Mein Ek Khala Maujood Hai..


Aagahi mein ek khala maujood hai,
iss ka matlab hai khuda maujood hai.
Hai yaqeenan kuchh magar waazeh nahin,
aap ki aankhon mein kya maujood hai.
Baankpan mein aur koi shayy nahin,
saadgi ki inteha maujood hai.
Hai mukammal baadshaahi ki daleel,
ghar mein gar ek boriyaa maujood hai.
Shauqiya koi nahin hota ghalat,
iss mein kuchh teri razaa maujood hai.
Iss liye tanha hun main garm-e safar,
qaafile mein rahnuma maujood hai.
Har mohabbat ki binaa hai chaashni,
har lagan mein mudda maujood hai.
Har jagah, har shehar, har iqleem mein
dhoom hai uss ki jo na-maujood hai.
Jis se chhupna chahta hun main ‘adam
woh sitamgar ja-ba-jaa maujood hai. !!

Bas Iss Qadar Hai Khulaasa Meri Kahaani Ka..


Bas iss qadar hai khulaasa meri kahaani ka,
ki ban ke toot gaya ek habaab paani ka.
Mila hai saaqi toh raushan hua hai ye mujh par,
ki hazf tha koi tukda meri kahaani ka.
Mujhe bhi chehre pe raunaq dikhaayi deti hai,
ye mojaza hai tabeebon ki khush-bayaani ka.
Hai dil mein ek hi khwaahish woh doob jaane ki,
koi shabaab koi husn hai rawaani ka.
Libaas-e hashr mein kuchh ho toh aur kya hoga,
bujha sa ek chhanaaka teri jawaani ka.
Karam ke rang nihaayat ajeeb hote hain,
sitam bhi ek tareeqa hai meharbaani ka.
Adam’ bahaar ke mausam ne khudkushi kar li,
khula jo rang kisi jism-e argawaani ka. !!

Khairaat Sirf Itni Mili Hai Hayaat Se..


Khairaat sirf itni mili hai hayaat se,
paani ki boond jaise ataa ho furaat se.
Shabnam issi junoon mein azal se hai seena-koob,
khurshid kis maqaam pe milta hai raat se.
Nagaah ishq waqt se aage nikal gaya,
andaaza kar rahi hai khirad waaqeyaat se.
Soo-e-adab na thahre toh dein koi mashwara,
hum mutmain nahin hain teri kaayenaat se.
Aasaan-pasandiyon se ijaazat talab karo,
rasta bhara hua hai ‘adam mushkilaat se. !!

Khaali Hai Abhi Jaam Main Kuchh Soch Raha Hun..

Khaali hai abhi jaam main kuchh soch raha hun,
Aye gardish-e ayyaam main kuchh soch raha hun.
Saaqi tujhe ek thodi si takleef toh hogi,
Saaghar ko zara thaam main kuchh soch raha hun.
Pehle badi *raghbat thi tere naam se mujh ko,
Ab sun ke tera naam main kuchh soch raha hun.
*Idraak abhi poora *ta’aawun nahin karta,
*Dai *baada-e-gulfaam main kuchh soch raha hun.
Hal kuchh toh nikal aayega halaat ki zidd ka,
Aye kasrat-e aalam main kuchh soch raha hun.
Phir aaj ‘Adam shaam se ghumgeen hai tabiyyat,
Phir aaj sar-e shaam main kuchh soch raha hun. !!

Girte Hain Log Garmi-e Bazaar Dekh Kar..


Girte hain log garmi-e bazaar dekh kar,
sarkaar dekh kar meri sarkaar dekh kar.
Aawaargi ka shouk bhadakta hai aur bhi,
teri gali ka saaya-e deewaar dekh kar.
Taskin-e dil ki ek hi tadbeer hai faqat,
sar phod leejiye koi deewaar dekh kar.
Hum bhi gaye hain hosh se saaqi kabhi kabhi,
lekin teri nighaah ke atwaar dekh kar.
Kya mushtaqil ilaaj kiya dil ke dard ka,
woh muskura diye mujhe beemar dekh kar.
Dekha kisi ki simt toh kya ho gaya ‘Adam
chalte hain raah-rau sar-e bazaar dekh kar. !!

Post a Comment

 
Top